Tuesday, 16 April 2013

raat ka safar

sooraj ke nikalne se dhalne tak
ek din tamaam hojata hai,

aur pehli saans se akhri tak
ek puri zindagi...

bachpan subha hai
ladakpan duphairi
jawani shaam
aur budhapa gehraati raat

har ek din puri zindagi ki maanind chadhta hai
aur raat maut ki tarha chupa deti hai

har raat mera bistar meri kabr ban jaata hai
aur saher hotey hotey meri maa ki koke

Par is raat ke safar mein jo khwaab aatey hain unka kya?

kya maut bhi ek lamba, betuka, uljha hua khwaab hai?

No comments:

Post a Comment