Kal purane messages padh rahi thi
Wo jo tum mujhe aur main tumhe,
kuch saalon se bhej rahe hain.
Likha tha maine ke khwaab mein aaye the tum,
Yaad nahin ab.
Ye khwaab bhi ajeeb hote hain,
Par haqeeqat se zara kam hi,
Jab itne saal pehle mil hi gaye they,
to ab itne saal baad kyun miley ho?
Kuch to tha
Jo jud gaya tha,
Ab tootega,
To sirey se hi.
Acha chalo ye batao,
Kya kiya tumne in saalon mein?
Apne ghar ki khidki se ghanto baarish dekhi ya
nahin?
Ek hi dhun ko puri raat gungunaya tumne kabhi?
Kabhi aisa hua tumhare sath ke
khayalon mein khokar,
haath mein pakdi chai bhul gaye ho?
Dil toota tumhara?
Ya toda kisika?
Itne second,minute, ghante,din,mahine,
baras...
Tum jaante the main kahin hun...
Mujhe pata tha tum ho.
Hijr ke kitne chaand takey hain maine,
tab jaake aaj wasl ki baarish hui
hai,
Par ye hijr hi kaisa hijr tha,
tumse juda hone ka ehsaas to usmein
tha hi nahin,
Bas ek dard tha dil mein,
Ab kal miloge to haath rakhdena dil pe mere.
Pata nahin tumse kaise kahun,
Par ek din phir raste batne hain hamare,
Ye kuch kadam jo mere saath chalo,
bas haath thaamey rehna
Sochti hun kaisa hoga tumhare galey lagna?
Kya tumhara makhmali gehra rang chadega mujhpe?
Kya meri zulfon ki siyahi tumhari aakhon mein
ghulegi?
Ab to ulti ginti shuru hogayi hai,
Aaj tum aur main ek dusre ko dekh pa rahe hain,
Kal phir waqt aur dard ki dhund dhak legi
hamein,
Phir kuch nahin dikhega,
Lekin jaante ho,
mehsus zarur hoga,
Dil mein tumhare,
Kahin na kahin,
phir kisi shaam mein,
Jab badal jud rahe hon,
Naam lena mera.,.
Halke se,apni bhari awaz mein,
jo qaid hai mere seene mein,
pukar lena mujhe.,,,
No comments:
Post a Comment