Kisiko tareekh ka
Aur kisiko jaayedaat ka
Kisiko ko guzre hue maa-baap ka
Aur kisiko alfaazon ki udhedbun ka
Kisiko ghareebi ka
Aur kisiko fakeeri ka
Kisiko safar ka
Aur kisiko bhook ka
Kisiko bigde hue jism ka
Aur kisiko haafze ka
Kisiko dhoke ka
Aur kisiko rengti hui aati maut ka
Kisiko ko jang ka
Aur kisiko haar ka
Kisiko watan ki aas ka
Aur kisiko bichde hue parivaar ka
Kisiko pagalpan ka
Aur kisiko siyasat ke waar ka
Itne gham hain duniya mein
Kyun milni thi mujhe ishq ki chot
Aur gham dildaar ka
Meri hi kismet mein kyun tha
Gham ye pyaar ka
Ye chota, kamzarf, bemaina dard
Jiski sharam mein rona bhi dushwaar hai
Mera hi gham kyun duniya mein bekaar hai
Hijr aur wasl ki nazmein bhi nahin hai
Na ghussa hai bewafa yaar ka
Nabhi se nikalta hai meri
Aur halaq mein utar jaata hai
Mujhse shuru hota hai
Aur mujhtak hi aata hai
Ye kaisa tuchcha gham hai
Gham ye pyaar ka
No comments:
Post a Comment