Wednesday, 15 May 2013

Khamoshi sun rahi hun



Dil khamosh hai mera
Jism khamosh hai
Khamoshi sun rahi hun is waqt main

Is sannate mein sath they hum ek waqt
Phir jaaney kyun tum kuch kehne lage
Awaz tumhari goonjnein lagi
Mujhe tanhaiyaan hi darkaar hoti hain
Khamoshi ke ghar aur sannaton ki deewarein
So main laut aayi
Par bahar ab ek nadi behti hai
Paani ki awaz hai har waqt kaano mein
Ye shor bahar se aata hai ya mere andar se?
Ye sannata bahar tha ya mere andar?
Kahan chala gaya?
Dhundna chahti hun
Sukoon baarishon ki thandi hawa sa...
Akelapan jungle mein khade ped ka...
Tareek ne jisey bhula diya
Khoya hua wo chauraha inquilaab ka...

No comments:

Post a Comment