Thursday, 28 March 2013

Aasman laal hai



Aasman laal hai
Zakhm hara hai
Ye jo parwaaz mein hain parinde
Gehri gehri  kharoch chodh jaatey hain
Main baadlon se dhakti hun riste hue khoon ko
baadal bhi bewafa hain
shaam tak baras jaatey hain
kuch lamhe gehrata hai andhera
kuch lamhe sukoon sa milta hai in siyyah galiyon mein
lekin phir kambakht taarey nikal aatey hain.

No comments:

Post a Comment