Thursday, 28 March 2013

sasti khushi


kehne keliye kuch nahin,
kya kahun....
kuch mehsoos nahin kiya,
kya likhun...
na dard hai mujhe...dil ka,
na kuch khoya hai maine....zindagi mein,
ek raasta, ek raftar, ek lamba thaka hua, bekar safar...
na aadi tedi laino se bigadti hai,
na rangon se sawarti hai,
bas ek parat pe dusri chadhti jaati hai,
main bhaagta hun,
chupta hun,
ye door baithke muskurati hai...

meri zindagi hai ek sasti khushi,
jispe ab hasi nahin aati hai...

No comments:

Post a Comment