Zindagi ka har din
Ek guzre kal ki parchayi hai
Upar waley ne waqt aur usmein ghulti yaadon ki
kuch aisi tigdam bhidayi hai,
aaj gali se guzarte dekha tumhe,
kisi aur ke sath…
din mein guzre hazaar lamho ki tarah
ye lamha bhi ghaseet ke kahin peechey legaya.
ke wo bhi ek din tha
jab meri chat se teri chat dikhti thi
aur ye bhi ek din hai …
na ishq, na dard, na ruswayi hai…
No comments:
Post a Comment