Ghar ke peechey ek chota sa bageecha tha
Ab wahan jungle hai
Beylon ka kaher hai
Sookhey patton ki dadagiri hai
Wahin kal dupaihri mein
Jab sooraj khada ghoor raha tha
Ek laash mili mujhe
Sad ti hui
Uski badboo kuch lamhon mein hi bardasht
hone lagi
Main uske pas jaake baith gayi
Uske hath ko apne hath mein liya
Aur saara haal dil ka keh diya
Par lagta tha wo sun nahin rahi hai
Yun uska be murrawat hona bardasht nahin
hua mujhe
Ek purani kulhadi toote hue darwaze se
latki thi
Maine tukde tukde kardiye us laash ke
Badi bewakoofi ki
Pehle to bas ek laash thi
Ab kayi hissey hogaye uske
Kahan kahan dafnaati unko
Aise hi chorh wapas ghar agayi
Sooraj bhi khada ghoorta raha
No comments:
Post a Comment